Jaa zindagi Madinay say jhonkay hawa k laa,
Shayad Hazzur humsay khafa hain mana k laa,
Kuch hum bhi apna chahray-e-batin sanwar lain,
Abu Bakkar say kuch ayen-e-ishq- o-waqa k laa,
Shayad Hazzur humsay khafa hain mana k laa,
Dunya bohut hi tung muslamn pay ho gaye,
Farooq k zamanay k naqshay utha k laa,
Shayad Hazzur humsay khafa hain mana k laa,
Mehrum kardiya hamain jin say nigah nay,
Us man say wo zawiye sharm-o-haya k laa,
Shayad Hazzur humsay khafa hain mana k laa,
Maghrib mai mara mara na phir aye gadday-e-ilm,
Darwazy-e-Ali say yai khaiyraat ja k laa,
Shayad Hazzur humsay khafa hain mana k laa,
Batil say phir dab rahi hay phir Ummat RASSUL ki,
Manzzar kuch Hussain say Karbbala k laa,
Shayad Hazzur humsay khafa hain mana k laa,
Darkar hay dua mai agar tujh ko ajjizi,
To Zain ul Abideen say fiqray dua k laa,
Shayad Hazzur humsay khafa hain mana k laa,
Karna hay apnay aap ko arasta agar,
Kirdar apnay samnay sab Aouliya k laa,
Shayad Hazzur humsay khafa hain mana k laa,
Aur yai Jung-e-kuffr- o-haq hay agar tujh ko jeetni,
Har nojawan ko Qasim aur Tariq bana k laa,
Shayad Hazzur humsay khafa hain mana k laa,
Sajjday mai girr girra k MUHAMMAD kay paon pur,
Jaa or jald Rehmat-e-Haq ko bula k laa,
Shayad Hazzur humsay khafa hain mana k laa,
Shayad Hazzur humsay khafa hain mana k laa,
Jaa zindagi Madinay say jhonkay hawa k laa,
Shayad Hazzur humsay khafa hain mana k laa,
Mail By:
"syed sadath"
0 comments:
Post a Comment