Thursday, 19 March 2009

Poetries

with 0 comments


Dosti hoti nahi bhool jane ke liye,
Dost milte nahi bichhud jane ke liye,
Dosti karne se khush rahoge itna,
Ki waqt milega nahi aasun bahane ke liye

------------ --------- --------- --------- --------
Manzilein bhi us ki thi Rasta bhi us ka tha
Ek main akela tha Kafila bhi us ka tha

Saath saath chalne ki soch bhi us ki thi
Phir rasta badalne ka faisla bhi us ka tha

Aaj kyun akela hoon Dil sawal karta hai
Log to us ke the kia khuda bhi us ka tha

------------ --------- --------- --------- ---

Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,

Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,

Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,

Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....
------------ --------- --------- ---------


Mail By:

0 comments:

Post a Comment

Categories

Disclaimer

Cool Daily Pics acknowledges that though we try to report accurately, we cannot verify the absolute facts of everything posted. Postings may contain fact, speculation or rumor. We find images from the Web that are believed to belong in the public domain. If any stories or images that appear on the site are in violation of copyright law, please email [dil_ki_dunyaa@yahoo.com] and we will remove the offending information as soon as possible.