Jab bahar aai to sehra ki taraf chal nikla
Sehan-e-gul chor gaya dil mera pagal nikla
Jab use dhoondne nikle to nishaan tak na mila
Dil mein maujood raha aankh se oojhal nikla
Ek mulaqaat thi jo dil ko sada yaad rahi
Hum jise umar samjhate the woh ek pal nikla
Woh jo afsana-e-gam sun ke hansa karte the
Itna roye hain k sab aankh ka kajal nikla
Hum sakoon dhoondne nikle the pareshaan rahe
Shahar to shahar hay jungle bhi na jungle nikla
kaun “Ayub†pareshaan nahi tareeki mein
chand aaftaab pe dil seene mein bekal nikla
0 comments:
Post a Comment