Showing posts with label Poetry. Show all posts
Showing posts with label Poetry. Show all posts

Friday, 21 October 2011


Woh ajnabi tha,gair tha,kis ne kaha na tha
Dil ko magar yaqeen kisi par huwa na tha

Hum ko to ehtiyaat gham dil azeez thi
Kuch is liye bhi kam nagehi ka gila na tha

Dast khiyal yaar se photye shafaq k rang
Naksh qadam bi rang hina k siwa na tha

Dhundha isse bohut k bolaya tha jis ne paas
Jalwa magar kaheen bhi sadaa k siwa na tha

Kuch is qadar thi garmayi bazar aarzo
Dil jo kharidata tha isse dekhta na tha

Kaise kareen ge zikar habeeb jafa pasand
Jab name dostoon main bhi lena rawa na tha

Kuch yunhi  zard zard si naheed aaj thi
Kuch oohrni ka rang bhi khilta huwa na tha

Woh Ajnabi Tha - Poetry

Thursday, 20 October 2011

Mere Dil Main Bastey Ho - Poetry

Yaad Tum Bohut Atey Ho - Poetry

Monday, 17 October 2011

Aasmaan Ka Faisla - Poetry

Sunday, 16 October 2011

Terey Bagair - Poetry

Thursday, 13 October 2011

Main Tera Shehar Choor Jaun Ga - Poetry

Wednesday, 12 October 2011


 
 
Time and Tide wait for none
Time and Tide play for all and one

It may not stop and make you fall

It may hop and place you in top

With no help it keeps on flowing

And tells you to keep on going

Let it be sad or let it be happy

Neither I nor you can stop it

But still the world goes on

With no drop of pause on

So keep on sharing and keep on caring

because neither you nor I can stop it

Time and Tide wait for none
Time and Tide play for all and one

by gauri pathak
 
 

Time And Tide Wait For No One

Tuesday, 11 October 2011

پردیس کے دوستوں کے نام

Monday, 10 October 2011

Kia Mila Tujhe - Poetry

Saturday, 8 October 2011





Khirki, chand, kitab aur main,
Mudat se 1
baab aur main,
Shab bhar khailen apas me,
Do ankhain 1
khwab aur main,
Mouj aur kashti sahil per,
Dariya me gardaab aur main,
Sham, udaasi, khamoshi,
Kuch kanker talaab aur main,
Har shab pakrey jaty hen
Gehri neend, tery khwab aur main

Khirki, Chand, kitab aur Main - Poetry

Thursday, 6 October 2011

Teri Jaan Ka Sadqa - Poetry




Yeh shishey yeh sapney yeh rishtey yeh dhagey
kisey kiya khabar hay kahan tuut jaeen
Mohabbat k darya main tankey wafa k
Najaney yeh kis moor par doub jaeen
Ajab dil ki basti ajab dil ki wadi
Har ek moor mousam nai khawaishon ka
Lagaey hain ham ne bhi sapno k podey
Magar kiya bharosa yahan barishon ka
Muradoon ki manzel k sapno main khoey
Mohabbat ki rahoon pe ham chal parey they
Zara doour chal k jab aankheen khuleen to
Kahri dhuop main ham akeley kharey they
Jinheen dil se chaha jinheen dil se puja
Nazar aa rahey hain wohi ajnabi se
Rawayat hay shayad yeh sadeyon pourani
Shikayat naheen hay koi zindagi se

Tankey Wafa K- Poetry

Wednesday, 5 October 2011

Dushman Meri khushiyon ka...

Khaar Zaar Basti Main...Poetry

Monday, 3 October 2011

Woh Kisi Ka Ho Chuka Tha

Saturday, 1 October 2011

Suna Hai Is Muhabbat Mein...

Friday, 30 September 2011

Main Aur Chand

Wednesday, 28 September 2011

Lagta Naheen Hay Jee Mera - Poetry

Tuesday, 27 September 2011

Barish_ Pyar_Wajood_n_Aankhein

Friday, 23 September 2011

Koi Deewana Kehta hai - Old

Categories

Disclaimer

Cool Daily Pics acknowledges that though we try to report accurately, we cannot verify the absolute facts of everything posted. Postings may contain fact, speculation or rumor. We find images from the Web that are believed to belong in the public domain. If any stories or images that appear on the site are in violation of copyright law, please email [dil_ki_dunyaa@yahoo.com] and we will remove the offending information as soon as possible.