Aankhon ke raastay tujhay dil main utaar doon
Dono jahaan chand se chehray pe waar doon
woh lamha aaj bhi meri mutthi main bund hai
us ik nigaah e naaz pe khud ko nisaar doon
Aaeenay main woh khud ko sanware hain jaane kyoun
Apne lahoo se surkh labon ko nikhar doon
Us husne baimisaal ki taareef kuch naheen
baad e saba kahoon tujhe naam e bahar doon
hai yeh kisi haseen ki zulfon se teergi
roshan sahar karoon ke jo inko sanwaar doon
dil kya hai jaan kya hai karrun tujh pe sab nisaar
Main do jahaan teri muhabbat main haar doon
Chutkee hai chandni ya shuaaein hain noor ki
woh aa gaye hain bazm main nazrain utaar doon
Mairi bhi umr us ko hi lag jaae ae khuda
Din raat yeh duaaen usay beshumaar doon
Seema kiwaar khol doon sab, gur woh sitamgar
dustak de aik baar main dil baar baar doon

"Mere HathOn Aur Honton Se KhusHboo Jati Nahi K
Main Ne Ism-e-MOHAMMAD {S.A.W.W.} Ko Likha BohaT Aur ChumA Bohat"
DoSt HoTa NaHi HeR HaTh MiLaNe WaLa"
Bint E Aadam
Mail By:
"Bint E Aadam Miss Bhatti"
0 comments:
Post a Comment