Yahen Rehty hain Lekin Shehar Se Nata Nahi koi
Parey hain Aisey goshey Mein Jidher Aata Nahi koi
Humare Dil Ke Andar Roz Eik Sooraj Utarta hai
Yeh wo Darya hai Jis Se loUt Kar jata Nahi koi,
Humein Sab Shakh Se taota hUa Patta Smajhtey hain
Bhatak jaien to hum Ko Raah Par Lata Nahi koi,
Sada e BaazGasht Aati Nahi Ab Ke Paharon Se
Tujhe Aawaz dEta hoon tO dohrata Nahi koi,
Jo Dekha hai Wo Aankhon Pe Yaqeen Karney Nahi Daita
JO Socha hAi woh Khud Ko Bhi Bata Pata Nahi koi,
Mere Seenay Ke Ander Kia koi Jadoo Ki Nagri hai?
Sada Aati hAi Lekin Samney Aata Nahi kOi,
Meray MOLA mUjhey Phir Se wohi JaNnat Ata Kar Dey
Zamana ho Gya hAi mUjh Ko Behkata Nahi kOi,
Teray Ghar Ka Pata Maloom hAi Mere Siwa Sab Ko
Kisi Ko POoch Lo to Simat Batlaata Nahi koi,
Mujhe Maloom hAi tu Sang-Dil hAi Be-Murawat hai
Mere Dil Ko Magar Tere Siwa Bhata Nahi koi,
Agar Yeh Bhi Barasney Lag Parien to Mera Kya hoga?
Ghataaon Ke Siwa Mere Sar Pe Chhaata Nahi koi,
Kisi Ko Maal deta hai Kisi Ko Sabar deta hAi
Sakhi tujh Sa Do Aalaam Mein Meray Data Nahi koi,
Zara Si Baat Par "Azhar" dunYa Choar Di tUm Ne
Arey Apney Kiye Par youn tO Pachta-ta Nahi kOi.
0 comments:
Post a Comment