kari dhoop ka jo safar yaad aaya
taira saaye ka wo shajar yaad aaya
makeen thay jahan par hansi say khushi say
mujhay yaad aaya wo ghar yaad aaya
usay bhoolnay ka kiya to hay wadaa
karoongi main kya wo agar yaad aaya
basa hi raha tassavur mai mairay
jidhar bhi gayi main udhar yaad aaya
mairi waihshaton ko jo barhata hi raha
wo tanhaaiyon ka safar yaar aaya
nikaltay hi wo chaand ka aasmaan par
wo aana taira baam par yaad aaya
khuda say maangnay lagi to
duaaon ka apni asar yaad aaya
mujhay dard ki baarishon mai baha kar
wo raihna taira baikhabar yaad aaya
main bhooli rahi jisay umar saari
wohi mushkilon mai magar yaad aaya
kabhi sil na paaye mairay zakham naheed
mujhay koi shaam-o-sahar yaad aaya
Mail By:
"Bint E Aadam Miss Bhatti"
0 comments:
Post a Comment