Kamal e zabt ko khud bhi to azamaungi
Main apane hath se us ki dulhan sajaungi
Supurd kar ke use chandani ke hathon
Main apane ghar ke andheron ko laut aungi
Badan ke karb ko wo bhi samajh na payega
Main dil may roungi ankhon may muskuraungi
Wo kya gaya ke rafaqat ke sare lutf gaye
Main kis se ruth sakungi kise manaungi
Wo ik rishta e benam bhi nahi lekin
Main ab bhi us ke isharon pe sar jhukaungi
Bicha diya tha gulabon ke sath apana wajud
Wo so ke uthe to khwabon ki rakh uthaungi
Ab us ka fan to kisi aur se manasub hua
Main kis ki nazm akele may gungunaungi
Jawaz dhundh raha tha nai muhabbat ka
Wo kah raha tha ke main us ko bhul jaungi
Main ab kabhi teri awaz sun na paungi
0 comments:
Post a Comment