Saturday 9 October 2010

~*Dil Ki Kitaab*~

with 0 comments

~*Dil Ki Kitaab*~Pak Old...

Koi phool dhuop ki patiyon main

Hare reban se bandha huwa

Woh ghazal ka lahja naya naya

Na kaha huwa na suna huwa

Jese le gai hai abhi hawa

Woh warq tha dil ki kitaab ka

Kaheen aansouwoon se mita huwa

Kaheen aansou se likha huwa

Kai meel rait ko kaat kar

Koi mouj phool khela gai

Koi pair piyaas se mar raha hai

Nade k paas khara huwa

Wohi khat k jes pe jagah jagah

Do mahkte hontoon k chand the

Kisi bhule besre taaq par

Tahye gard ho ga daba huwa

Mujhye haadsoun ne saja saja k

Bohot haseen bana deya

Mera dil bhi jaise dulhan ka

Haath ho mahndeyoon se racha huwa

Wohi shaher hai wohi raaste

Wohi ghar hai aur wohi laan bhi

Magar is dareche se pouchna

Woh darakht anaar ka kiya huwa

Mere sath jugnoo hain hamsafar

Magar is sharr ki basaat kiya

Yeh charag koi charag hai

Na jala huwa na bujah huwa



__,_._,___

0 comments:

Post a Comment

Categories

Disclaimer

Cool Daily Pics acknowledges that though we try to report accurately, we cannot verify the absolute facts of everything posted. Postings may contain fact, speculation or rumor. We find images from the Web that are believed to belong in the public domain. If any stories or images that appear on the site are in violation of copyright law, please email [dil_ki_dunyaa@yahoo.com] and we will remove the offending information as soon as possible.